Ticker

6/recent/ticker-posts

Tere ishq ki inteha chahta hun - Urdusad

 

Tere ishq ki inteha chahta hun
Bang-e-Dara

Tere ishq ki inteha chahta hun

Meri sadgi dekh kaya chahta hun 


Sitam ho ki ho wada be hijabi 
Koi baat sabar azma chahta hun 

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko 
Ke main aap ka samna chahta hun 

Zara sa to dil hun magar shuKh itna 
wahi lan tarani suna chahta hun 

Koi dam ka mehman hun ai ahle-mehfil 
Charaghe-sahar hun bujha chahta hun 

Bhari bazm mAin raaz ki baat keh di 
Bara be-adab hun saza chahta hun 


Poet: Sir Allama Muhammad Iqbal


Recommended!!


Post a Comment

0 Comments