Umar guzregi imtihan mein kaya daagh hi denge mujh ko dan mein kaya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuch mere bayan mein kaya mujh ko to koi Tokta bhi nahi yahi hota hai Khandan mein kaya apni mahrumiyan chupate hain Hum gharibon ki aan-ban mein kaya Khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mere guman mein kaya Sham hi se dukan-e-dil hai band nahin nuqsan tak dukan mein kaya ayi mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi ban mein kaya bolte kyu nahi mere haq mein aable pad gaye zuban mein kaya Khamushi kah rahi hai kan mein kaya aa raha hai mere guman mein kaya dil ki aate hain jis ko dhyaan Buhat Khud bhi aata hai apne dhyan mein kaya wo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi hun main teri aman mein kaya yu jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kaya hai nasim-e-bahaar gard-alud Khak udti hai us makan mein kaya yeh mujhe chain kyun nahin paDta ek hi shakhs tha jahan mein kaya
Urdu sad provided Urdu poetry, English quotes, Girls, boys Dps for Facebook, WhatsApp & Instagram and high quality wallpaper for mobile.